Chapter 1: Atish-e- Dillagi
CHAPTER #01
Zindagi ik ese safar ka name hy Jo insan ko ya tou uski manzil sy milata hy or usko har khushi deta hy ya phir us sy jeene ki wajah Bhi cheen leta hy .
Lekin is safar mein ik lafz jis sy
roshnas hona insan ko kahi dur tanha kr deta hy woh hy " mayusi ."
Lekin hum mayus keo hon ,hamary sath to Allah hy jis ky ik ishary par pahar pighal sakty hain .
Or Pathar mom ban sakta hy .
Wo naseeb bana Bhi sakta hy or muqadar badal Bhi Sakta hy .
Agar esa na hota to woh insan ko kabhi Dua sy roshnas na karwata or mojzon ka Ilm hi na deta .
Is tareek duniya mein boht sy sahary chootaty hain jahan, wahan boht sy naye rishty Bhi Milty hain .
Lekin log to phir Bhi us Allah sy mayus ho jaty hain .
Jese ky yeh ik nazuk si Jan khud ko tanha mehsus krti hy yeh jany bagher ky woh do aankhein kab sy uski muntazir hain .