Chapter 40: Atish-e-Dillagi
CHAPTER #40
" Kuch log kitne sakht dil hoty hain unko khayal hi ni rehta ky samne wala shaqs unko apni zindagi samjhta hy lekin woh ik pal bhi ni lagaty us shaqs ki zindagi ujarne mein .
Alfaaz mein boht takat hoti hai . Yeh ik khanjar ki tarah aa kar seena cheerne mn mahir hoty hain . Or dukh Bhi yhi hy ky yad reh jaty hain log Bhi or unky alfaaz Bhi .
Kaash koi esi jadu ki chari hoti jis sy logo ki batein Bhool jati kuch yadein Bhool jati or unsy lagai gai umeedein Bhool jati. Faqt yaad rehta to yeh ky is shaqs ny dill dukhaya hy .
Zulm krne waly ni dekhty ky samne mojud yeh choti si jaan waqt sy pehly samjdar ho chuki hy .
Aksar halaat insan ko itna behis kar dete hain ky woh apny andar hoti toot phoot ko bhi nazar andaaz kr deta hy . Kitna bedard hy na insan .
Kahani ko agar waqt mein peeche ly chalein jahan WALEED apni qul qainaat ko yani Apni maa ko marta hua chor kar bhaga tha .
Tab wahan koi or Bhi mujood tha . Jis ne bakhoobi note kia tha ky Rabia Khan zinda hy .
Or kuch log hoty hain Jo apky masiha ban jaty hain . Jo apki zindagi mn ik mamuli sy qirdar hoty hain kuch mukhlis dost . Lekin woh boht khaas hoty Hain .
Asghar Khan jab Waleed ko dhundty thak haar kar wapis aya tha tab Rabia khan wahan nahi thin.Sirf khoon tha wahan. Or asal kahani to wahin sy shuru hoti hy jahan sy humein lgta hy ky kahani khatam ho gai hy.
Maira ko laa kar Waleed ky kamre mein betha dia giya tha . Pury raasty Waleed ny usko khoob tang kia tha jis ki wajah sy woh shadid naraz thi or gussa Bhi.
Waleed ky ghar mein Rabia khan ki taraf sy kiye gaye welcome sy ik baar to woh sab bhool gai thi . Lekin phir bhi apna nakhra to dekhana tha na .
Rabia Khan sy usko apni maa ki tarah ki unsiat mehsus Hui thi .
Jis pyaaar sy Rabia khan ny Maira ko apnaya tha . Usy pyaar kia tha uska istaqbaal kia tha .
Maira khud ko boht khush qismat smjh rahi thi . Usy apni qismat par rashq aya tha
Maira ab kamre ka pura jaiza ly chuki thi . har cheez khol kar dekh li thi siwaye ik locker ky . jis ki chabi ni thi or ab usko gussa aa rha tha keo ky woh kafi time sy uska intizar kar rahi thi .
Or upar sy Waleed ky kamre mein mojood har chiz mn perfection dekh kar Wese Bhi uska sir ghoom raha tha .
Keo Maira Hussain Shah ny kabhi koi cheez apni jagah py ni rakhi thi .
Or usy ik Andesha hua tha ky woh kese guzara kary gi lekin jhatka gai thi .
Or Waleed Ahmad Khanzada garden mein Bethe cigarette phoonk rey thy . Jo wo boht kam peeta tha .
Or Rabia khan ky wahan aty hi cigratte jaldi sy neeche gira kar upar pau rakh chuka tha .
Usko dekh kar Rabia khan ko bhi hansi ai thi jis ko woh chupa gai thin.
" Khuaab mehngy boht pary hum ko
Gham ki maqrooz ho gai aankhein ."
Kheriat hy laad sahb yahan keo bethy cigratte ky sath ishq lara Rey hain jayiye apni biwi ky pas . "
Rabia ny aty sath uski laal ankhein note kar li thin . Lekin poocha nhi . Woh esi hi thin poochti nahi thin kuch Bhi lekin agly ko batane par majbur kar deti thin .
Waleed ny shafqat sy unhy dekha phir unky hath chume jin par burhape ky Nishan thy , phir hathon ko apni ankhon sy lagaya tha .
" Fikar na karein Ap uski Ami Jan .
Kafi hisab nikalty hain usky saath mere ."
Waleed ny Bhi hans ka kaha tha . Lekin samne Bhi uski maa thin .
" Bachpan ki mohabbat thi ab biwi ban gai to masla kia hy hein .Mar khao gy muj sy tum ."
"Ik to apko yeh nahi batana chaiye tha ky woh mere Bachpan ka pyaar hy . Ap to apne jawaan bete ko ni chor rai cherne sy . khuda ka khof krein yar."
" Mein kuch time alag kiya hoi laad sahb ny to mohabbat ky gul khila diye."
Or Rabia khan ki is baat par dono maa beta Hans diye thy .
Lekin is hansi mein takleef thi . Aziat thi . Intizaar tha kai salon ka .
" Kash hum Juda na hoty . Mne boht kuch akele bardasht kiya hy Ami . Ap saath hoti to un takleefon ka koi asar na hota mujh par . Ap to mere comfort zone thi. Or in salon mn boht besukoon Raha hun. "
"Agar mn tum sy dur na hoti to tum abhi Muj sy itna pyaar na karty."
Rabia khan ny mazak kiya tha lekin woh mazbut mard ro diya tha .Or sir apni maa ki god mn rakh diya tha. Kaha tha na kuch log itne mazboot hoty hain ky unhe Dekh kar tars ata hy .
" Mein dunya apky qadmon mn rakh dun pyaari Ami Jan."
Woh roty roty muskura diya tha.
" Bhai lgata hy upar mahol garam hy . kamre sy awaazein aarhi hain."
Peeche sy awaaz ai thi. Yeh larka Jo waleed ko boht Aziz tha .
" Tumhari muhabbat hy . Gussa to hoga usmn. Khayal rakhna chahiye tha tumhn . Itna intizar krwana theek ni tha."
Rabia khan Bhi kandhy uchkati wahan sy chali gai thin.
Waleed Bhi jaldi sy upar giya tha . Kamre ka darwaza kholty hi usko shadid jhatka lga tha .