Chapter 5: Atish-e-Dillagi
CHAPTER 05
Maira ko nervous breakdown hua tha jis ki wajah sy woh pura hafta hospital mein admit thi .
Pehly to doctors ny umeed chor di thi ky jis halaat sy woh guzri hy uska bachna mushkil hy , lekin Maira ki halat behtr ho gai thi .
Is hafty ky andar andar Sara ky walid ny tadfeen waghera ka sara amal khud krwa dia tha .
Doctors ny Bhi Maira ko zayada stress lene sy mana kr diya tha jis ki wajah sy usky samne hosh mein any ky bad esi koi bat na ki thi .
" Mujy laga tha ky baba akr mama ko bacha lein gy , woh unko kuch ni hony dy gy , Lekin yeh ni pata tha ky baba to mama sy Bhi Muj sy Bhi zayada pyaar krty thy , woh unky bagher kese rehty "
Maira ny sirf yhi bola tha or isi khayal ki wajah sy shaid us ny khud ko sambhala tha .
Uski crystal Gray ankhon mein ik dard ka thathy Marta samundar tha Jis ko usny apni ik muskurahat sy aag laga di thi .
Yeh esi muskurahat thi ky jese kisi ki zindagi ujar gai ho or woh kony mein pursukoon khara dekh ra ho .
Maira ko hospital sy discharge krwa kr sara apny ghr ly kr gai thi .
Usny Maira ko boht smjhaya tha is bary mein or ab maira razi hui thi k woh Sara ky ghr rahy gi .
Maira ky Abu ky bs ik hi bhai thy , lekin maira ko unky bary mein kuch ni pata tha , Maira Bachpan mein un sy ik do bar mili thi
Lekin us ky bad un ky apas mein takukaat khrb ho gye thy tou us ki wajah sy woh ik dosry sy bolty Bhi ni thy . Isi liye wo kisi or ky pas ni reh sakti thi siwaye Sara ky.
Maira ny aa kr Sara ky ghr rehna shuru kr dia tha , or woh puri koshish kr rai thi maira ko zindagi ki taraf lany ki or kafi had tak kamiyab Bhi ho rai thi
Lekin kuch khula to baqi reh jata hy .
Maira or Sara ki university Bhi shuru hony wali thi jis ki wajah sy ab woh university ki tyarion mein magan thy .
Ab dekhna yeh tha ky zindagi ka yeh safar Maira ky liye kesa sabit hona tha .
Na jane kitny raaz hamary muntazir hoty hain ky hum unko kholein , Or un raaz ki qeemat aksar boht zayada hoti hy .
Kuch log raaz rakh lete hain tou kuch unka bojh ni utha sakty .
Keo ky agr raaz ka asal matlb smjha jye tou yeh esa hy ky iska bhaar agr kandho PR pary tou insan zameen mein dhans jye .
" Hamari zindagi hamari mojudgi Bhi kisi raaz sy kam ni hy " .